Pradhanmantri Suraksha Bima Yojana - 12 ₹ में 2 लाख का बीमा कवर
Bharat Sarkar dwara Pradhanmantri Suraksha Bima Yojana chalai ja rahe hai is Yojana ke antargat aap sirf 12 rupaye pay karke 2 lakh Tak ka Bima cover le sakte hain. jaise ki AAP sab jante Hain Aaj ka samay bahut mushkil se bhara hua hai vaise mein kabhi bhi kuchh ho sakta hai isliye aapko koi bhi Bima cover le Lena chahie.
Lekin hamare Desh mein bahut se aise log hai jiske pass koi bhi Bima khabar nahin hota isliye Government of India nahin Pradhanmantri Suraksha Bima Yojana launch ki hai aaj ki post mein ham dekhenge is Yojana ke liye apply kaise karen is Yojana ka form kaise download Karen aur is Bima ki rakam prapt karne ke liye claim kaise karen so is post ko last Tak padhte rahiye.
Eligibilities :
- PM SBY Yojana ka Labh lene ke liye vyakti ka koi bhi Bank mein bachat khata hona chahie (Saving account)
- Vyakti ki umra 18 se 70 varsh Tak honi chahie
- Is Yojana mein 12 rupaye premium dene honge jismein auto-debit ke liye grah ki Sahamti honi chahie.
- Bank account mein vyakti ka mobile number register hona chahie.
- Vyakti ke pass Aadhar Card hona chahie.
Policy Period :
PM SBY Bima policy ki Annual avadhi 1 June se 31 Mai Tak hogi.
Primium :
Yearly 12 rupaye premium bharna hoga.
How to Apply :
PM SBY policy lene ke liye aap 2 tariko SE apply kar sakte hain 1. online aur 2. offline.
1. Online mode
online app Apne Bank official website se internet banking ke jariye is Yojana ki policy le sakta hai jismein aapko Bank mein Jana nahin hoga Ghar baithe aapko sirf net banking se login karna hoga iske bad is Yojana ke liye premium debit karna hoga.
Sabhi Bank ki website ki link niche Di gai hai.
2. Offline mode
sabse pahle aapko jansuraksha.gov.in website open karni hai. iske bad FORMS per click karna hai. iske bad Pradhanmantri Suraksha Bima Yojana per click karna hai uske bad apni language mein form Ko download kar lena hai.
aur download kiye Gaye form ki print nikale nahin hai aur isase feel karna hai iske bad Bank mein jama kara dena hai. Aap direct Bank mein jakar bhi form bhar sakte hain.
- Risk Coverage: Total coverage (sum-insured) under the scheme is Rs. 2 Lakh.
Jyada jankari ke liye niche Di gai video per click Karen...
Post a Comment